Monday, April 20, 2020

Hang on!

You have to reach out
Yeah, you have to
Sometimes to help
Sometimes to seek
The simplest of the things
The not so obvious signs
That subtle cry for help
That everything in nothingness
And that presence of nothing in everything
The deafening silence
That feeling that weighs you down
But look around
Catch the signs, decipher the signals
Square the circles
Don't wait till you cross all the boxes
But reach out
Few around are just hanging 
Hanging by single thread
Hanging for long
Long, long
And then no more..

Wednesday, April 15, 2020

Doesn't help!

It's not a phase
It doesn't go away
You can't jerk it off
And move on with no trace
You can't just sleep it off
And wake up fresh
The hollowness doesn't just go away
Your, 'others have seen worse'
Be strong, 
With time everything gets alright'
Doesn't help
DOESN'T
HELP
When there's an abyss pulling you in
When your insides sink
With no trace of harbour nearby
Your superficial concern doesn't help
Your be strong, doesn't help
Listen out to us
Comfort us 
Make us know we aren't going insane
Tell us that to be human is to feel
And few humans are blessed to feel with their every inch
Don't show a rosy picture of tomorrow
Take our hand now
And say that 
If it's only today that we got
Whatever it is
We are in this together..



Monday, April 13, 2020

Sitaare


आसमां सितारों से भरा

और तू सर झुकाए चला...



Sunday, April 12, 2020

Khidki tale..

Nahi pata tha ki Chandni bhi apni raah bhatak jayegi,
Aur kisi din bhool kar meri khidki se mere kamre tak aajayegi

Halki si, madham
Chandni aur hum

Neend bhi iss aankhon mei kam
Us par woh chandni aur shabnam

Lagta hai ab us chand ko bhi,
hamse pyar hone laga
Ek tarafa pyaar , 
ab ye do tarfa hone laga

Pata hota agar 
ki tum subah 4 baje meri khidki par aate ho
Saare sapno ko hum bhaga detey, 
tumse milne ke baad hi neend ko apna pata detey..

Kitni raatayei tum aaye ho bin batayei,
Aur chal diye mujshe bina muh milaye

Roj milenge ab hum, issi samay wahi ghadi
Ye duniya hogi waise bhi neend mei doobi
 
Aaj bhi milna usi khidki tale,
Apni chadni se mujhe apne baho mei liye..

Intezaar rahega,
Ab bas intezaar hi rahega..

Milenge kabhi..

Milungi kabhi tum se toh ye puchungi..

Ki itne taare hai aasman mei,
Phir bhi chand akela kyun hai?

Ki itni nadiyaan pani se bhari padi,
Phir bhi registan mei koi pyaas se marta kyu hai ?

Makaan bade aur dil chote kyun yaha
Uske dil ka kya jo bhooke pet aur nanga sadak par sota yaha

Kyu aaj bhi hamari samajh choti hai
Aaj bhi rang, jaat aur dharm ki bedi hai

Nafrat hum khule aam jaata te kyu yaha?
Aur pyar kyu darr darr ke karte hum hai?

Kyu har koi naam banane ki piche pagal yaha
Uski seerat kaisi hai kya kisni ne jaana yaha

Kyu mandir, masjid, gurduware mei hi sarr jhukte
Wahi sarr kyu dharm ke naam par kat te

Kyu aaj bhi parivaar hai sirf aurat ki zimmedari
Jab woh ghar ke aadmi se bhi ho jyada paisa kamati

Milungi kabhi tumse toh ye puchungi..

Ki kyu meri hasi kabhi namak jaisi lagti,
Kyu kabhi lagta hai iss dil mei hai koi gehri si khayi

Kyu log surat par marte yaha
Phir wahi surat par hakk na milne par usse mitate yaha

Milungi kabhi tum se toh ye puchungi..

Ki kya pyaar karna koi fareeb hai?
Koi chaal hai ya kismat ka khel hai

Apna milna kya naseeb tha?
Aur bichadna kya uni naseeb wali hath ki lakeeron ka mitna tha?

Milungi kabhi tumse toh ye puchungi..

Ki kya mujhse milna ka pachtava tume hai?
Kya mera hona aur na hona bhi ek hai?

Milungi kabhi tumse toh ye puchungi..
Kabhi toh miloge, 
Hakeekat nahi, 
toh sapno mei hi sahi..

Saturday, April 11, 2020

Akelepan

Akelepan ki aadat si ho chali hai ab hame,
Koi saath ho ya na ho, nahi farak padta ab hame..

Waise kaha koi yaha saath nibhata hai,
Beech raah haath chod kar har koi chala jaata hai..

Khamoshi se hi hum batein karte hai abhi,
Hamara haal sun woh bhi khamosh ho jaati hai abhi..

Kisi ne hamare wajood ko inkaar kiya,
Aur kisi ne hamare dard ko nakar diya..

Ab aur kisi se kya umeed rakhe,
Agar rakhe bhi toh kyu rakhe..

Akelepan ab bhaanta hame,
Saath khud hi ka raas aata hame..

Shayad..

Koi mujhse acha likhta yaha
Koi mujhse acha dikhta yaha
Koi mujhse acha sajta yaha
Koi mujhse acha sochta yaha

Koi behtar hai
Koi jyada kamiyab
Koi jyada samajhdar
Koi jyada hoshiyaar

Jitni main hu kya koi aur bhi utna hi main yahi?

Main hoon,
Jaisi bhi hoon..
Apno ke liye apni si,
Anjano ke liye anjani si..

Khayalo mei doobi
Gaano mei khoyi
Chand se baatein karti,
Raaton ko din mei dhalte dekhti..

Pyar se pyar karti,
Phir wahi pyar se dur bhaagti..
Apni dil ki hamesha sunti,
Aur kabhi ansuna kar apne aap se hi lad jaati..

Thodi beparwaah
Thodi masoom
Thodi pagal
Thodi laparwah

Thodi gumsum
Thodi khoobsurat
Thodi chalak
Thodi nalayak

Thodi bholi
Thodi sharmili
Thodi samajhdaar
Thodi anokhi

Thodi tum jaisi 
Thodi unn jaisi
Thodi akeli si
Apni hi duniya mai khoyi si..

Jaisi bhi hoon
Main mai hoon
Mujh jaisa shayad koi aur nahi...

Hang on!

You have to reach out Yeah, you have to Sometimes to help Sometimes to seek The simplest of the things The not so obvious signs That subtle ...