Sunday, April 12, 2020

Milenge kabhi..

Milungi kabhi tum se toh ye puchungi..

Ki itne taare hai aasman mei,
Phir bhi chand akela kyun hai?

Ki itni nadiyaan pani se bhari padi,
Phir bhi registan mei koi pyaas se marta kyu hai ?

Makaan bade aur dil chote kyun yaha
Uske dil ka kya jo bhooke pet aur nanga sadak par sota yaha

Kyu aaj bhi hamari samajh choti hai
Aaj bhi rang, jaat aur dharm ki bedi hai

Nafrat hum khule aam jaata te kyu yaha?
Aur pyar kyu darr darr ke karte hum hai?

Kyu har koi naam banane ki piche pagal yaha
Uski seerat kaisi hai kya kisni ne jaana yaha

Kyu mandir, masjid, gurduware mei hi sarr jhukte
Wahi sarr kyu dharm ke naam par kat te

Kyu aaj bhi parivaar hai sirf aurat ki zimmedari
Jab woh ghar ke aadmi se bhi ho jyada paisa kamati

Milungi kabhi tumse toh ye puchungi..

Ki kyu meri hasi kabhi namak jaisi lagti,
Kyu kabhi lagta hai iss dil mei hai koi gehri si khayi

Kyu log surat par marte yaha
Phir wahi surat par hakk na milne par usse mitate yaha

Milungi kabhi tum se toh ye puchungi..

Ki kya pyaar karna koi fareeb hai?
Koi chaal hai ya kismat ka khel hai

Apna milna kya naseeb tha?
Aur bichadna kya uni naseeb wali hath ki lakeeron ka mitna tha?

Milungi kabhi tumse toh ye puchungi..

Ki kya mujhse milna ka pachtava tume hai?
Kya mera hona aur na hona bhi ek hai?

Milungi kabhi tumse toh ye puchungi..
Kabhi toh miloge, 
Hakeekat nahi, 
toh sapno mei hi sahi..

No comments:

Post a Comment

Hang on!

You have to reach out Yeah, you have to Sometimes to help Sometimes to seek The simplest of the things The not so obvious signs That subtle ...