Nahi pata tha ki Chandni bhi apni raah bhatak jayegi,
Aur kisi din bhool kar meri khidki se mere kamre tak aajayegi
Halki si, madham
Chandni aur hum
Neend bhi iss aankhon mei kam
Us par woh chandni aur shabnam
Lagta hai ab us chand ko bhi,
hamse pyar hone laga
Ek tarafa pyaar ,
ab ye do tarfa hone laga
Pata hota agar
ki tum subah 4 baje meri khidki par aate ho
Saare sapno ko hum bhaga detey,
tumse milne ke baad hi neend ko apna pata detey..
Kitni raatayei tum aaye ho bin batayei,
Aur chal diye mujshe bina muh milaye
Roj milenge ab hum, issi samay wahi ghadi
Ye duniya hogi waise bhi neend mei doobi
Aaj bhi milna usi khidki tale,
Apni chadni se mujhe apne baho mei liye..
Intezaar rahega,
Ab bas intezaar hi rahega..
No comments:
Post a Comment