Friday, April 10, 2020

Khamoshiyan..


Kitna kuch keh jati hai ye khamoshiyan
Bina ek shabd kahe apni dastaan bata jati hai ye khamoshiyan

Sawaal naye de jati hai ye
Unhi sawaloon ke jawaab bhi suna jati ye 

Kitni gehri hai ye khamoshiyan
Dooba lengi khud mei hi ye khamoshiyan

Cheekhti chilati hai ye khamoshiyan
Khul kar azaad hone ke liye tadap jati hai ye

Pyar bhi jatayei ye khamoshiyan
Dard hazaar bhi de jaaye ye khamoshiyan

Halki phulki
Sau haathiyo se bhi bhari kabhi

Saath hamesha nibhaye ye khamoshiyan
Shabdon jaise na kabhi dhoka de jaaye ye khamoshiyan

Apni si lagti hai ye khamoshiyan
Meri kabhi..
Teri kabhi..
Teri meri khamoshiyan..

No comments:

Post a Comment

Hang on!

You have to reach out Yeah, you have to Sometimes to help Sometimes to seek The simplest of the things The not so obvious signs That subtle ...